Machine learning k 7 important models/algorithms or un ki description ye rahi ap ki computer screen per:
Is mode main ap aik linear equation k sath 2 numeric paramters ka relationship dekhtay hyn
Is model main ap aik logistic function ko use kar k binary dependet variable ko classify kartay hyn (e.g: Sigmoid function)
Is main ap trees bnatay hyn decision ki base per or data yani k roots se leaves yani k output predict kartay hyn conditions laganay k baad
Is model main ap aik imaginary line ya plane lagatay hyn jo 2 ya 2 se zada data ko separate kar k classify karnay main help karta hy
Is model main ap Bayes' Theorem ko use kartay hyn jo ye assume karta hy k sara data independent hy, is liay isay naive b kehtay hyn (naive means sada, naive person: Sada loh insan ya Allah log)
Is model amin data apni properties ki base per ikatha aik jhund bna leta hy, or jis group/jhund main data ikatha ho usay cluster kehtay hyn and cluster ki base per phir classification hti hy. Data k center ko centroid boltay hyn jo is model ki aik khaas baat hy
Is model main data apnay qareebi rishtaydaron yani k similar data ko apna naam de deta hy. E.g: Agar aik Pakistani Europe main kisi doosray insan jo Pakistan k kisi b city se ho usay Pakistani soch k yaad rakhay ga, q k Nationality same hy.